Be-tarah aap ki yaadon ne sataya hai mujhe by Mumtaz Mirza - Vocal Manoj Agarwal
https://open.spotify.com/episode/788D90TXpJes528rglThgU?si=onpczNATROuYse-oosw2_Q
Be Tarah - Mumtaz Mirza
Be-tarah aap ki yaadon ne sataya hai mujhe
Chaandni raaton ne aa aa ke rulaya hai mujhe
Aap se koi shikayat na zamaane se gila
Mere haalaat ne majboor banaya hai mujhe
Aaj phir auj pe hai apna muqaddar shaayad
Aaj phir aap ne nazron se giraya hai mujhe
Apne begaane hue aur zamaana dushman
Be-dimaaghi ne meri din ye dikhaya hai mujhe
Kaun se dasht mein le aaya mujhe mera junoon
Mud ke dekha hai to kuch khauf sa aaya hai mujhe
Phir hue aaj baham jaam-e-gul o naghma-e-shab
Phir mere maazi ne ‘Mumtaz’ bulaya hai mujheबे-तरह आप की यादों ने सताया है मुझे चाँदनी रातों ने आ आ के रूलाया है मुझे आप से कोई शिकायत न ज़माने से गिला मेरे हालात ने मजूबर बनाया है मुझे आज फिर औज पे है अपना मुक़द्दर शायद
आज फिर आपने नज़रों से गिराया है मुझे अपने बेगाने हुए और ज़माना दुश्मन बे-दिमाग़ी ने मेरी दिन ये दिखाया है मुझे कौन से दश्त में ले आया मुझे मेरा जुनूँ मुड़ के देखा है तो कुछ ख़ौफ़ सा आया है मुझे फिर हुए आज बहम जाम-ए-गुल ओ नग़मा-ए-शब फिर मेरे माज़ी ने ‘मुमताज’ बुलाया है मुझे
Shayarai By - Mumtaz Mirza
Recited By - Manoj Agarwal
